Monday, October 26, 2015

Melody

Dil mein the jo sawaal woh bikhar gaye badal bankar
seene mein tha jo ros wo bisar gaya koi sapna hokar
Ab rehti hai toh bas ek tmanna tumse milne ki kisi roz
jo hai chupa gulistan woh mehek jaayega.....
pyaar ka woh jharna fir umad aayega......

iss aas se hi guzaarish karte hain
ki paas se na ab guzar jaana
woh jo kehte the kal aayega
wo aaya aur na kahin ab guzar jaayega
jo tumhe apna hi maana
toh kya hai khoya kabhi aur kya hai paana


No comments: